Thursday, July 4, 2013

Chahta hai koi beshumar aapko,


Chahta hai koi beshumar aapko,
Par aapko iss baat ki khabar nahi...
Marta hai koi dilo-jaan se aap pe,
Par aapko uski koi fikar nahi...
Yuu hi chala jaayega wo iss duniya se ek din,
Par shayad aapko padta koi fark nahi...
Aapke intzaar me bita di kisi ne poori zindagi,
Par aapko iss baat ki khabar nahi...




Koi bhul gaya hai hume,
Phir bhi hum usse yaad karte hai...
Koi chala gaya hai bahut dur humse,
Par aaj bhi hum uska intezaar karte hai...
Nahi jaante hum ki kya hai uske dil me,
Par aaj bhi hum usse bahut pyaar karte hai...
Jaane kaha gaye wo haseen din,
Ab to bas hum unhi yaadon ke sahare jiya karte hai...




Rutha hai koi, aaj phir usse manane ko jee chahta hai...
Naaraj ho gaya tha koi, aaj phir usse hasane ko jee chahta hai...
Hamari taraf dekhna tak chod diya tha jisne,
aaj phir usse najrein milane ko jee chahta hai...
Begana ho gaya tha koi humse,
aaj phir usse apna banane ko jee chahta hai...





No comments:

Post a Comment