1.
Pyaar aankho se rooh tak jaane ka rasta hai AUR Pasand aankho
se dil tak jaane ka rasta hai.
2.
Pyaar majboori ka doosra naam hai AUR Pasand chaahat ka doosra naam hai.
3.
Pyaar mein raaton ki neend khoti hai AUR Pasand mein chain ki raatein hoti hai.
4.
Pyaar mein har waqt intzaar hota hai AUR Pasand mein har waqt dilparchar hota hai.
5.
Pyaar ki koi wajah nahi hoti AUR Pasand ki ek wajah hoti hai.
6.
Pyaar mein dooriyaan kam najdikiya zyaada hoti hai
AUR Pasand mein ek jarurat
tak hi najdikiya hai.
7.
Pyaar zindagi jine ka makksad hai AUR Pasand zindagi jine ka makksad jine ka jariya hai.
8.
Pyaar khushi dene aur gham sehne ki aadat hai AUR Pasand khush rehne ki ik kalaa hai.
9.
Pyaar do dilon kaa milan hai AUR Pasand do ankho ka weham hai.
10.
Pyaar mein aankhe nam hoti hai AUR Pasand mein aankhein naram hoti hai.
No comments:
Post a Comment