Saturday, May 18, 2013

Tod diya dil usne mera na jane, Kya soch kar..



Tod diya dil usne mera na jane,
Kya soch kar..
Kar liya sabar hamne na jane,
Kya soch kar..!
Thi na koi khata hamari,
Phir bhi sah liye sare sitam..
Hamne na jane,
Kya soch kar..!
Yakeen hai hame vo bewafa to nahi,
Kiya usne aisa kis majboori main..
Na jane kya soch kar..!
Jo kal tak khilta gulab tha mere aashiyane ka,
Kar gaya veeran mere gulshan ko,
Jane kya soch kar..!
Kal tak tha jo saath mere,
Meri zindgi ki raho par..
Aaj vo chala gaya dusre kinare par,
Tanha mujhe chhodkar..
Na jane kya soch kar..!
Kal tak jiske labo par naam tha mera,
Hamara har LAMHA..
Aaj vo hamare naam se nafrat karta hai,
Na jane kya soch kar..!
Kal tak jo saanse chalti nahi thi hamare bagair,
Aaj vo saanse chal rahi hai..
Na jane kya soch kar..!
Kabhi jo chalte the hamara sahara lekar,
Aaj vo nikal pade hai raho par..
Manzilo ki talash main tanha..
Na jane kya soch kar..!
Chhod diya usne mujhe zindgi ki raho main tanha,
Na jane kya soch kar !!


No comments:

Post a Comment